Online Bollywood Karaoke on Google Play Store MeraGana Karaoke is available on Google play store. Bollywood Karaoke,Hindi Karaoke, Punjabi Karaoke online Get it from Google Play Store
MeraGana uses cookies for use of the site. By continuing to use our site, you accept our use of cookies. our Privacy Policy and Terms of Service.  
We added new tracks to our online Karaoke please visit Newsletter Archive  
Meragana
Close
MeraGana
Meragana Portal
Close
Play Song
HomeShagoon (1964)
HomeShagoon (1964)
MeraGana
Close
Search Karaoke Songs 
clear text      
0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z    Show All


bujha diye hain khud apne haathon muhabbaton ke diye jala ke meri wafaa ne ujaad di hain umeed ki bastiyaan basaa ke tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin naa dil ko maaloom hai naa humko naa dil ko maaloom hai naa humko jiyenge kaise tujhe bhulaa ke bujha diye hain khud apne haathon muhabbaton ke diye jala ke kabhi milenge jo raaste mein to munh phira kar palat padenge kabhi milenge jo raaste mein to munh phira kar palat padenge kahin sunenge jo naam tera kahin sunenge jo naam tera to chup rahenge nazar jhuka ke naa sochane par bhi sochti hoon ke zindgaani mein kya rahega naa sochane par bhi sochti hoon ke zindgaani mein kya rahega teri tamanna ko bhasm kar ke tere khyaalon se door jaa ke bujha diye hain khud apne haathon muhabbaton ke diye jala ke
gori sasuraal chali doli saj gayi shagnon waali gori sasuraal chali ho o o bindiyaa cham cham chamke paayal chham chham chhanke chuda chamak dikhaye gajraa mehak lutaaye phadke ang badan ke jodaa laal pehan ke doli saj gayi shagnon waali ho o o aaye ghadi milan ki kaliyaan khil gayi mann ki gori raaj karegi sukh se god bharegi sakhiyan dewen badhayi baaj rahi shehnayee doli saj gayi shagnon waali ho o o jaadoo daar ke sabka mann mohegi sabka nanad balaayen legi saas duvayen degi chhu kar paanw sasur ke bhaag jagaayegi ghar ke doli saj gayi shagnon waali
itne kareeb aa ke bhi kya jaane kis liye itne kareeb aa ke bhi kya jaane kis liye kuchh ajnabee se aap hain kuchh ajnabee se hum kuchh ajnabee se aap hain wo ek baat jo thi fakat aapke liye wo ek baat jo thi fakat aapke liye wo ek baat keh na sake aap hi se hum wo ek baat keh na sake aap hi se hum kuchh ajnabee se aap hain aisi to koi qaid nahin dil ki baat par aisi to koi qaid nahin dil ki baat par aapas ki baat hai to daren kyun kisi se hum kuchh ajnabee se aap hain tum door ho to maut bhi aaye na humko raas tum door ho to maut bhi aaye na humko raas tum paas ho to jaan bhi de den khushi se hum kuchh ajnabee se aap hain maut ek beham aur haqeeqat hai zindagi ek doosre ko magenge is zindagi se hum ek doosre ko magenge is zindagi se hum ek doosre ko magenge
hoooooo oooooo hooooooo ooooo hooooo ooooo oooooo hooooo ooooo oooooo parbaton ke pedon par shaam ka basera hai parbaton ke pedon par shaam ka basera hai surmayi ujaala hai champayi andhera hai surmayi ujaala hai dono waqt milte hain do dilon ki surat se dono waqt milte hain do dilon ki surat se aasmaan ne khush ho kar rang saa bikhera hai aasmaan ne khush ho kar thehre thehre paani mein geet tharrtharate hain thehre thehre paani mein geet tharrtharate hain bheege bheege jhonkon mein khushbuon kaa dera hai bheege bheege jhonkon mein khushbuon kaa dera hai parbaton ke pedon par kyun naa zazb ho jaayen iss haseen nazaaren mein kyun naa zazb ho jaayen iss haseen nazaaren mein roshni kaa jhurmat hai bastiyon ka ghera hai roshni kaa jhurmat hai bastiyon ka ghera hai parbaton ke pedon par ab kisi nazaare ki dil ko aarzoo kyun ho ab kisi nazaare ki dil ko aarzoo kyun ho jab se paa liya tumko sab jahaan mera hai jab se paa liya tumko sab jahaan mera hai parbaton ke pedon
tum apna ranj o ghum apni pareshaani mujhe de do tumhe unki kasam iss dil ki viraani mujhe de do tumhe unki kasam iss dil ki viraani mujhe de do ye maana main kisi kaabil nahin hoon inn nighahon ne ye maana main kisi kaabil nahin hoon inn nighahon ne bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do main dekhoon to sahi duniyaan tumhen kaise sataati hai main dekhoon to sahi duniyaan tumhen kaise sataati hai koi din ke liye apni nigebaani mujhe de do koi din ke liye apni nigebaani mujhe de do wo dil to maine maanga tha magar gairon ne paaya tha wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya tha badi shaikh hai agar uski pashemaani mujhe de do badi shaikh hai agar uski pashemaani mujhe de do tum apna ranj o ghum apni pareshaani mujhe de do
tum chali jaaogi parchhaaiyaan reh jaayengi kuchh naa kuchh husn ki raanaiyaan reh jaayengi kuchh naa kuchh husn ki tum ke iss jheel ke saahil pe mili hooo mujhse jab bhi dekhunga yahi mujhko nazar aaogi yaad mitti hai naa manzar koi mit sakta hai door jaa kar bhi tum apne ko yahin paaogi tum chali jaaogi parchhaaiyaan reh jaayengi kuchh naa kuchh husn ki ghul ke reh jaayegi jhonkon mein badan ki khushboo zulf ka aks ghataaon mein rahega sadiyon phool chupke se chura lenge labon ki surkhi ye jawaan husn fazaaon mein rahega sadiyon tum chali jaaogi parchhaaiyaan reh jaayengi kuchh naa kuchh husn ki iss dhadakti huyi shaadaab o hanseen waadi mein iss dhadakti huyi shaadaab o hanseen waadi mein ye naa samjho ke zara der ka kissa ho tum ab humesha ke liye mere muqaddar ki tarah inn nazaaron ke muqaddar kaa bhi hissa ho tum tum chali jaaogi parchhaaiyaan reh jaayengi
ye raat bahot rangeen sahi ye raat bahot rangeen sahi iss raat mein ghum ka zehar bhi hai naghmon ki khanak mein doobi huyi fariyaadon puaa ki lehar bhi hai ye raat bahot rangeen sahi tum raqs karo main sher padhun matlab to hai kuchh khairaat mile iss kaum ke bachchon ki khaatir kuchh sikkon ki saugaat mile sikke to karodon dhal dhal kar taksaal se baahar aate hai kin waaron mein kho jaata hai kin pardon mein chhup jaate hai ye zulm nahin to phir kyaa hai pasie se to kaale dhandhe hon aur mulk ki waaris naslon ki taleem ki khatir chande hon ab kaam nahin chal sakne kaa reham aur khairaat ke naare se iss desh ke bachche anpad hai daulat ke galat batwaare se badle ye nijaam e zardaari badle ye nijaam e zardaari keh do ye siyaasatdaanon se ye maq alhal hone ka nahin kaagaz pe chhape elaanon se ye maq alhal hone ka nahin kaagaz pe chhape elaanon se ye raat bahot rangeen sahi iss raat mein ghum ka zehar bhi hai ye raat bahot rangeen sahi
zindagi zulm sahi jabr sahi ghum hi sahi dil ki fariyaad sahi rooh ka maatam hi sahi zindagi zulm sahi jabr sahi ghum hi sahi dil ki fariyaad sahi rooh ka maatam hi sahi zindagi zulm sahi humne har haal mein jeene ki kasam khayi hai ab yahi haal muqaddar hai to shikwa kyun ho hum salike se nibha denge jo din baaki hain chaah rusva na huyi dard bhi rusva kyun ho zindagi zulm sahi jabr sahi ghum hi sahi dil ki fariyaad sahi rooh ka maatam hi sahi zindagi zulm sahi humko taqdeer se be wajah shikayat kyun ho isi taqdir ne chaahat ki khushi bhi di thi aaj agar kaanpti palakon ko diye hain aansu kal thirakate huye honthon ko hansi bhi di thi zindagi zulm sahi jabr sahi ghum hi sahi dil ki fariyaad sahi rooh ka maatam hi sahi zindagi zulm sahi hum hain maayus magar itne bhi maayus nahin ek na ek din to yeh ashkon ki ladi tootegi ek na ek din to chhatenge ye ghumon ke baadal ek na ek din to ujaale ki kiran phootegi zindagi zulm sahi jabr sahi ghum hi sahi
  Songs Title Sort Song Title Ascending Sort Song Title Descending Film/Album Sort Album Name Ascending Sort Album Name Descending Duration Song Number  

Bujha Diye Hain Khud Apne Shagoon (1964) 03:26 14210
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
Singer- 
Suman Kalyanpur
On Screen Actors- 
Waheeda Rehman
Duration : 03:26   Song Number : 14210   

Gori Sasural Chali Shagoon (1964) 03:32 14209
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
Singer- 
Jagjit Kaur
On Screen Actors- 
Kamal Jeet
Duration : 03:32   Song Number : 14209   

Itne Kareeb Aa Ke Bhi Shagoon (1964) 03:22 37581
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam
Duration : 03:22   Song Number : 37581   

Parbaton Ke Pedon Par Shagoon (1964) 04:11 12219
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
On Screen Actors- 
Kanwaljeet, Waheeda Rehman
Raag- 
Marwa
Duration : 04:11   Song Number : 12219   

Tum Apna Ranj O Ghum Shagoon (1964) 03:27 11931
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
Singer- 
Jagjit Kaur
On Screen Actors- 
Kamal Jeet
Raag- 
Pahadi
Taal- 
Dadra Tal
Duration : 03:27   Song Number : 11931   

Tum Chali Jaaogi Shagoon (1964) 03:24 14211
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
Singer- 
Mohammed Rafi
On Screen Actors- 
Kamal Jeet
Duration : 03:24   Song Number : 14211   

Ye Raat Bahot Rangeen Shagoon (1964) 03:09 14212
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
Singer- 
Mohammed Rafi
On Screen Actors- 
Kamal Jeet
Duration : 03:09   Song Number : 14212   

Zindagi Zulm Sahi Shagoon (1964) 04:01 32473
 
Poster of Shagoon (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Khayyam (Sharma Ji)
Singer- 
Suman Kalyanpur
On Screen Actors- 
Waheeda Rehman
Duration : 04:01   Song Number : 32473